kyu lagta hai esay?

1772_6050ea724ef5a7dd6c003b9b8f0a783b.jpg

Raat ki iss khamoshi main lagta hai jesay koi faryad karraha hoo,

Lagta hai jesay khoon kay ansoon koi ro raha hoo,

Lagta hai jesay khoi howi aas hoon,

Lagta hai jesay koi muddaton say intezar karraha hoo,

Khuwabo main kyu wahi chehra nazar araha hai,

Ata bhi hai toh bohat ghuzada nazar ata hai,

Dil main hasrat si rehnaye lagi hai,

Duniya toh jaisay ulat si gaei hai,

Har taraf sannata sa chahgaya hai,

Zindagi bhuj si lagnaye lagi hai,

umeed koi baqi na rahi,

Har taraf siskiyan sunaei derahi hai,

toh kahin  zulm-o-sitam kay badal chahnaye lagaye hai,

Nazar si lag gaei hai meri masoom si zindagi par,

Har taraf maut ka chehra nazar araha hai,

Bahar ka mausam khiza main badal jaraha hai,

Bulbul ko phool say juda kar kay qead kiya jaraha hai,

toh kahin parwanaye ko chiragh say dur kiya jaraha hai,

Zindagi rukhnaye lagi hai,

naya sa lagnaye laga hai har neeshaan,

yaadain bhikharti jarahi hai, toh kahin shikwaye gilaye bhartay jarahay

Mujh say meri raahaye juda ho rahi hai,

Zindagi khatam si honaye lagi hai.

 

 

 

 

 

 

 

 

50 thoughts on “kyu lagta hai esay?

Add yours

Leave a comment

Website Powered by WordPress.com.

Up ↑